Marsia.(Must Listen)

Thursday, December 23, 2010

Aik Boond Bhi Lyrics

Maa ne di sadaa x2
Ay mere betaa x4
Maa ne di sadaa x2
Eik bhoondh bhi paani na milaa khushk thaa galaa tar na hosakaa x3
Tarap uthi maa haae mere laal teer se chidhaa nanna sa galaa
Eik bhoondh bhi paani na milaa khushk thaa galaa tar na hosakaa x2
1. Beta tere baad jina sakungi,
paani tere baadh pina sakungi x2
Ujraa hai Asghar mera muqaddar,
tu hay bekafan mein houn beridaa
Eik bhoondh bhi paani na milaa khushk thaa galaa tar na hosakaa x2
2. Julaa julaati lori sunaati,
laal mei tere naaz uthaati x2
Ban mein lutgayi meri kamaayi,
khoon ka daryaa ban mei behgayaa
Eik bhoondh bhi paani na milaa khushk thaa galaa tar na hosakaa x2
3. Teer khaake tu muskuraadiya,
roti rehgayi foj e ashkiyaan x2
Nehr-e-alqamaa arz-e-karbala,
dekhti rahi tera honsla
Eik bhoondh bhi paani na milaa khushk thaa galaa tar na hosakaa x2
4. Rooti hay tujko haaye Sakina,
ab kahaan tujko paaye Sakina x2
Julaa bhi khaali, jholi bhi khaali,
dukhiya julae kiska julena
Eik bhoondh bhi paani na milaa khushk thaa galaa tar na hosakaa x2
5. Kaise ye manzar bhool paaungi,
ashk lahed mein jee bahaungi x2
Laal tumhaari phool si gardan,
kargayaa zakhmi teer e hurmala
Eik bhoondh bhi paani na milaa khushk thaa galaa tar na hosakaa x2
6. Chaldiye tum bhi maan ko chhorr kar,
kaise karungi shaam ka safar x2
Maangh bhi ujri kok bhi ujri,
koi nahin hay mera aasraa
Eik bhoondh bhi paani na milaa khushk thaa galaa tar na hosakaa x2
7. Teer khaake tu muskuraadiya,
roti rehgayi foj-e-ashkiyaan x2
Nehr-e-alqamaa arz-e-karbala,
dekhti rahi tera honsla
Eik bhoondh bhi paani na milaa khushk thaa galaa tar na hosakaa x2
8. Beta tere baad jina sakungi,
paani tere baadh pina sakungi x2
Ujraa hai asghar mera muqaddar,
tu hay bekafan mein hun beridaa
Eik bhoondh bhi paani na milaa khushk thaa galaa tar na hosakaa x2
9. Dhoop mein Jawwad umr bitaayi,
pal bhi na Mesum saaye mein aayi x2
Tapti zameen par tarpa tha Asghar,
maa ko woh manzar yaad rehgayaa
Eik bhoondh bhi paani na milaa khushk thaa galaa tar na hosakaa x2
Maa ne di sadaa x2
Ay mere betaa x4
Maa ne di sadaa x2

Pakistani Urdu Noha Information:

Nawha Reciter: Mesum Abbas
Album: Mesum Abbas 2008 Volume
Note: Dedicated to our Shia Brothers & Sisters.

Dua e Ali (AS) Lyrics

Ya habibi ya Hussain
(Sakhi Abbas Jari Ya ilaahi mujhe de) x2
1. Ek jari chaahiye taarike shujaa’at ke liye
Karbala mein mere Shabbir ki nusrat ke liye
Aur na munh se payambar ki hifaazat ke liye
Ya ilaahi mujhe Abbas-sa beta dede
(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3
2. Shukr sad shukr tera shabbar-o-shabbir diye
Betiyaan ki hai ata zainab-o-kulsoom mujhe
Baad iske meri bas ek dua ke badle
Ya ilaahi mujhe Abbas-sa beta dede
(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3
3. Aaina sabr-o-shujaat ka bana na mera
Hu bahu meri hi tasweer ho baccha mera
Usko dekhoon to nazar aaye sarapa mera
Ya ilahi mujhe abbas sa beta dede
(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3
4. Koi be-yar-o-madadgaar agar hojaye
Iltaja behre madad apni zabaan par laye
Mujko awaaz koi de wo madad ko aaye
Ya ilahi mujhe abbas sa beta dede
(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3
5. Zindagi jiski guzar jaye alamdaari me
Apne baazoo bhi kata de jo fidakaari me
Sabse aage nazar aaye jo wafadaari me
Ya ilahi mujhe abbas sa beta dede
(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3
6. Naam uska ho jin hoton pe wahan pyas na ho
Koi umeed na toote koi be aas na ho
Yaad karke use tanhai ka ehsaas na ho
Ya ilahi mujhe abbas sa beta dede
(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3
7. Mere maalik mere honthhon pe jab aayi ye dua
Meri aankhon mein nazar aane lagi Karbobala
Mera Shabbir musibat mein kharaa hay tanhaa
Ya ilaahi mujhe Abbas-sa beta dede
(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3
8. Jab woh karbal mein ho chawbhees pehel ka pyaasa
Har kadam par use isaar ka jazba dena
Aur mere laal ke haathonko salaamat rakhna
Ya ilaahi mujhe Abbas-sa beta dede
(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3
9. Ay “kaleem” hogayi maqbool duaa-e-Haidar
Usko “Mesum” kaha hai Fatema Zehra ne pisar
Arzu ki thi Ali ne jo huzur-e-daawar
Ya ilaahi mujhe Abbas-sa beta dede
(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3

Pakistani Urdu Noha Information:

Nawha Reciter: Mesum Abbas
Album: Mesum Abbas 2008 Volume
Note: Dedicated to our Shia Brothers & Sisters.

Ai Shaam E Gharibaan Lyrics

Jab karbala ki shaam mei koyi nahi raha, Ai shaam-e-gharibaan
mazloom-e-karbala ka sar tan se tha juda ai shaam-e- gharibaan
Khaak urh rahi thi khaymo mei, zainab thi berida ai shaam-e-gharibaan
rone ki pit ne ki aati rahi sadaa ai shaam-e-gharibaan
(Ai shaam-e-gharibaan) x6
1. (Haay fatema zahra ka bharaa ghar ujar gaya) x2
(Pyaase tarap rahe the darya karib tha) x2
Khaymo se aag bhar ki to ek shor sa utha
(Ai shaam-e-gharibaan) x4
2. (Haay karbala ki shaam ka manzar ajib tha) x2
(Ran me pare thay bikhre haay laash jabajaa(n)) x2
Ro roke kehrathi ye khaak-e-karbala ai shaam-e- ghariba
(Ai shaam-e-gharibaan) x4
3. (Khaymo mai ashkiya hai charaaga kiye huwe) x2
(Wo fatema ke dar ko hai veera(n) kiye huwe) x2
Sibte rasool paak ka khayma jalaa huwa
(Ai shaam-e-gharibaan) x4
4. (Koyi nahi jo zainab-e-muztar ka saath de) x2
(Pyaase yateem bacho ke koi sar pe haath de) x2
Har simt aa rahi thi al-atash ki eik sadaa
(Ai shaam-e- ghariba) x4
5. (Karbobala mei lut gayi nana duhayi hai) x2
(Be gor-o-kafan ran me mera pyaara bhaayi hai) x2
Haay dasht nainawaa mai zainab ne ye kahaa
(Ai shaam-e-gharibaan) x4
6. (Sajjad gham ye bhulna paayenga umr bhar) x2
(Sayyedaniyo(n) ke sog manayenga umr bhar) x2
Aankho se ashk khu(n) ke bahayenege ab sadaa
(Ai shaam-e-gharibaan) x4
7. (“Mesum” ye kaisi shaam karbal mei aayi hai) x2
(“Irfan” roke de rahi zainab duhaayi hai) x2
Pyaasa gala hussain ka khanjar se kat gaya
(Ai shaam-e-gharibaan) x4

Pakistani Urdu Noha Information:

Nawha Reciter: Mesum Abbas
Album: Mesum Abbas 2008 Volume
Note: Dedicated to our Shia Brothers & Sisters.

Amin Kaho Bacho Lyrics

Ameen Kaho Bacho – Mesum Abbas
Ameen x4
Karnay ko dua Rab say,
mein hath uthati houn,
amin kaho bacho,
ameen kaho bacho x3
1. Darya se abhi apne, ammu ko bulaati hoon
Ameen kaho bacho x2
Karne ko dua Rab se,
mein haath uthaati hoon,
ameen kaho bacho,
ameen kaho bacho x2
2. Khaimon mei taraayi ko, laane ka iraada hai,
Abbas ka waada hai x2
waada woh nibhaengay, mein tumko bataati hun
Ameen kaho bacho x2
Karne ko dua Rab say,
mein haath uthaati hoon
ameen kaho bacho x2
3. Who pyaas ka aalam hai, lab khola nahi jata,
kuch bola nahi jaata x2
mein harfe dua apne ashkon ko banaati hun
Ameen kaho bacho x2
Karne ko dua Rab say,
mein haath uthaati hoon
ameen kaho bacho x2
4. Paani jo mein kismat say, thora sa bhi paaungi
Asghar ko pilaaungi x2
bas ek dua lab par, roro kay mein laati hun
Ameen kaho bacho x2
Karne ko dua Rab say,
mein haath uthaati hoon
ameen kaho bacho x2
5. Ai bachon yaqinan who, amu ka kadam hoga,
shaane pay alam hoga x2
Aahat hai balaa kiski, mein dekh ke aati hoon
Ameen kaho bacho x2
Karne ko dua Rab say,
mein haath uthaati hoon
ameen kaho bacho x2
6. Mei chain na paaungi, ammu se judaa hokar,
marjaaungi roro kar x2
Allah mein tujhe apni, faryaad sunaati hun
Ameen kaho bacho x2
Karne ko dua Rab say,
mein haath uthaati hoon
ameen kaho bacho x2
7. Who uth kay Madinay say, aajaaengi darya par,
deti hun sada rokar x2
ammu hai musibat mein, dadi ko bulaati hun
Ameen kaho bacho x2
Karne ko dua Rab say,
mein haath uthaati hoon
ameen kaho bacho x2
8. Shabbir kay khayme mein, Nayyar hai bapa matam,
aati hai sada Mesum x2
pyaasi hu Sakina hoon, roti hoon rulaati hoon
Ameen kaho bacho x2
Karne ko dua Rab say,
mein haath uthaati hoon
ameen kaho bacho x2
9. Darya say abhi apnay, ammu ko bulaati hun
Ameen kaho bacho x2
Karne ko dua Rab say,
mein haath uthaati hoon
ameen kaho bacho x2
Ameen x4

Nowha Information:

Noha Reciter: Mesum Abbas
Album: Mesum Abbas 2004

Zainab Ka Wasta Lyrics

Zainab ka wasta (x4)
Ya rab dua kabool how Zainab ka wasta (x2)
Kerbobala ki sabira muztar ka wasta
Ya rab dua kabool how Zainab ka wasta (x2)
Dar dar phiri bhazaron mei, bey makhna how chaadar (x2)
Us warise tathir ki chaadar ka wasta
Ya rab dua kabool how Zainab ka wasta (x2)
Dow lal ko nisaar kiya rahey khuda mei (x2)
Zainab key dil key dago kay lashkar ka wasta
Ya rab dua kabool how Zainab ka wasta (x2)
Lori jisey sunati thi Zainab jow pyarsey (x2)
Us ladley masoom ali asghar ka wasta
Ya rab dua kabool how Zainab ka wasta (x2)
Jow hain mariz unko shifa jald ata how (x2)
Ham shakley fatemah key khuley sar ka wasta
Ya rab dua kabool how Zainab ka wasta (x2)
Ya Rab hamey masoomon ki ziyarat nasib how (x2)
Mazloome kerbala key katey sar ka wasta
Ya rab dua kabool how Zainab ka wasta (x2)
Zainab ka wasta (x2)

Lyrics Information

Recited By: Fatima & Batul Dhamani
Album: Ali Hamara Hai
Released: 2009

Rab Janay Tey Hussain Janay Lyrics

Rab janay tey Hussain janay (x6)
Day kay tun aida wasta mangley duaa
Rab janay tey Hussain janay (x4)
Itni namaz parh hona bechain ae
Jitni parhave aj tenu Hussain ae
Mustafa sajdah wadha kayndha khuda
Rab janay tey Hussain janay (x4)
Merey nasiba which likhi nay aulaad ae
Kiti Hussain meri jholi abaad ae
Sat putar day kay kaya rahib tun jaa
Rab janay tey Hussain janay (x4)
Zahra dey wedehey sakhi laj paal aaya ae
Ghowdi which laykay nabi paak farmaya ae
Merey deen da badhsha aj aghaya
Rab janay tey Hussain janay (x4)
Zahra day chandii koyi jagtey misaal nay
Zainab day veer jiyah koyi laj paal nay
Kerbala qibla mera kabaa mera
Rab janay tey Hussain janay (x4)
Har aik nabi gal haqdi manwa nae sakhi ya
Pehechaan haqdi sabnu karwa nae sakhi ya
Har nabi jadow thak peyah tey aakheyaa
Rab janay tey Hussain janay (x4)
Rab tay Hussain aisay rishtay nae jowrday
Qaiser ae dhowey aik dojay dey nae morday
Dar ae day hur wagun aa sir nu jhuka.

Lyrics Information

Recited By: Fatima & Batul Dhamani
Album: Ali Hamara Hai
Released: 2009

Pukara Dilsay Kisi Ney Lyrics

Ya Abbas Alamdaar, Ya Abbas Alamdaar (x3)
Pukara dil sey kisi ney jahan jahan Abbas (x2)
Madad kay wastey pohonche wahan wahan Abbas
Pukara dil sey kisi ney jahan jahan Abbas
Hussain walon pey kitney hain meherabaan Abbas (x2)
Jahan hussain kahain aah ghaye wahan Abbas
Pukara dil sey kisi ney jahan jahan Abbas
Hain farkh itna fakhat kerbala ho khaybar mein (x2)
Wo mar ka tha ali ka larey yahan Abbas
Pukara dil sey kisi ney jahan jahan Abbas
Sakina bibi sey bachey yeh rowkey kehey tey the (x2)
Alam nazar nahi ata ghaye kahan Abbas
Pukara dil sey kisi ney jahan jahan Abbas
Alam key sayeh mei kehetey chlow hussain na hussain (x2)
Khuda key fazal sey hain mir rey karawan Abbas
Pukara dil sey kisi ney jahan jahan Abbas
Zahey nasib teri manzilat pey kya kehena (x2)
Rasool zadiyan hain teri nawha khwaan
Pukara dil sey kisi ney jahan jahan Abbas
Chidhi jow mashq sakina tow aas tutghayi (x2)
Ghirey jow lashkarey aada ki darmiyaan Abbas
Pukara dil sey kisi ney jahan jahan Abbas
Furaat aaj bhi dowhra rahi hain mowjo sey (x2)
Tumhari shaan e shujaat key dastaan Abbas
Pukara dil sey kisi ney jahan jahan Abbas
Wafa ka rakhliya tumney bharam wafa ki qasam (x2)
Ajab wafa ka diya tumney imtehaan Abbas
Pukara dil sey kisi ney jahan jahan Abbas (x2)
Jahan jahan Abbas (x3)

Lyrics Information

Recited By: Fatima & Batul Dhamani
Album: Ali Hamara Hai
Released: 2009