Marsia.(Must Listen)

Thursday, December 23, 2010

Mera Iman Ali Hai Ali Lyrics

Kuley iman Ali (x2)
Kuley iman Hussain (x2)
Kuley iman Ali (x2)
Kuley iman Hussain (x2)
Deen ki shaan Ali (x2)
Deen ki shaan Hussain
Mera iman hai Ali hai meri pehchan Hussain (x3)
Shah wAliyon ka Ali (x2) Nabiyon ka sultan Hussain
Mera iman hai Ali hai meri pehchan Hussain (x2)
Ya Hussain
Hain bila fasl yeh donon he nabi ki zeenat (x2)
Aik sardar e jinan air qaseem e jannat
Adl e allah Ali (x2) adl ki mezan Hussain
Mera iman hai Ali hai meri pehchan Hussain (x2)
Ya Hussain
Chashm e khAliq mein hain ek doojay kay humsar donon
Aik nisbat say hai kul nabion say bartar donon
Nafs e ahmed hai Ali (x2) zehra ki hai jaan Hussain
Mera iman hai Ali hai meri pehchan Hussain (x2)
Ya Hussain
Sarey alam kay liye saray jahanon kay liye (x2)
Sab zameenon kay liye saray zamanon kay liye
Rab ki rehmat hai Ali (x2) rab ka hai ahsan Hussain
Mera iman hai Ali hai meri pehchan Hussain (x2)
Ya Hussain
Yeh tow khud nabion ka sultan gawahi daygha (x2)
Haan isi baat pay quran gawahi dayga
Nuqta e baa hai Ali (x2) bolta quran Hussain
Mera iman hai Ali hai meri pehchan Hussain (x2)
Ya Hussain
Aik hai khana e kaba ka bananay wala (x2)
Aik hai kalma e tauheed bachanay wala
Zamin e kaba Ali (x2) aur nigehban husaain
Mera iman hai Ali hai meri pehchan Hussain (x2)
Ya Hussain
Aik ney nabion say her lamha e mushkil taala (x2)
Aik ney fitrus o rahib ka muqaddar badla
Hai Ali amr e khuda (x2) rehmat e rehman Hussain
Mera iman hai Ali hai meri pehchan Hussain (x2)
Ya Hussain
Aik khAliq ki razaon ka khareedar bana (x2)
Aik woh jiska khuda aap talabgar bana
Yani haider ki tarha (x2) rab kay hai arman Hussain
Mera iman hai Ali hai meri pehchan Hussain (x2)
Ya Hussain
Aik be zar ko abuzar hai bananay wala (x2)
Aik hai hur ko jahanum say churanay wala
Meherban jaisa Ali (x2) waisa meherban Hussain
Mera iman hai Ali hai meri pehchan Hussain (x2)
Ya Hussain
Aaj bhi deen e payaamber yeh sada daita hai (x2)
Ab bhi islam ka pekar yeh sada daita hai
Mera rutba hai Ali (x2) hai mera ailan Hussain
Mera iman hai Ali hai meri pehchan Hussain (x2)
Ya Hussain
Na to dola hai na dolay ga aqeeda mera (x2)
Raat din noor Ali hai yeh wazeefa mera
Mera mazhab hai Ali (x2) hai mera eman Hussain
Mera iman hai Ali hai meri pehchan Hussain (x3)

Lyrics Information

Recited By: Fatima & Batul Dhamani
Album: Ali Hamara Hai
Released: 2009

No comments:

Post a Comment