Syeda, Tahira, Abida, Zahida, Taiyaba, Raziya, Marziya
Aadila, Sajida, Hura, Batool e Auzura
Syeda, Tahira, Abida, Zahida, Taiyaba, Raziya, Marziya
Aadila, Sajida, Hura, Batool e Auzura
Surah e Qadr ka yeh nara hai
Aap kiya jane Fatima kiya hai.
Jis ko mukhtar e amar kehtay hain
Jis ki ratoon ko qadar kehtay hain
Subho ko jiski fajr kehtay hain
Shaam ko jis ki asr kehtay hain
Har zamanay pay jiska kabza hai
Aap kiya jaane Fatima kiya hai.
Qadr jisko sada kaza nay kaha
Sayada jis ko Murtaza nay kaha
Apni maa jis ko Mustafa nay kaha
Kanzay maghfi jisay Khuda nay kaha
Jis ki chokhat pay Kaaba jhukta hai
Aap kiya janein Fatima kiya hai.
Jiskay dar say ho har aata ko aata
Inama ki amaan ka hai gosha
Kul kafa jiska khud gawah bana
Fateha kar rahi hai jiski sana
Pura Quran hee qasida hai
Aap kiya janain Fatima kiya hai.
Jiski chadar ko aasman kehiye
Apnay bachoon ka sahiban kehiye
Isko alhumd ka nishaan kahiye
Hashr ki dhoop main amaan kahiye
Kulay emaan ka jo musala hai
Aap kiya janay Fatima kiya hai.
Jiska baba Rasul (aashiq e Rab)
Jiskay baitay Hassan Hussain lakab
Yeh jahan main hai sab say acha nasab
Jiska shohar Ali ameer e Arab
Surah e Noor jiska shajrah hai
Aap kiya janein Fatima kiya hai.
Yeh gharana sakhi mila humko
Isi ghar say Nabi mila humko
Har wasih, har wali mila ham ko
Eik wali kiya, Ali mila hum ko
Isi ghar say Khuda bhi paya hai
Aap kiya janein Fatima kiya hai.
Jiska aik baita hai Imam e Hassan
Aik baita Hussain Shah e Zaman
Aik Abbas mislay kila shikan
Jisnay seekha Ali say jang e kafan
Jiska darya pay aab bhi kabza hai
Aap kiya janein Fatima kiya hai.
Ghazi bola mizaj kehr main hai
Mera hum pala koun shehr main hai
Piyas ka sad e bab nehr main hai
Nehr yeh Syeda kay mehr main hai
Mehr yeh khud Khuda nay rakha hai
Aap kiya janein Fatima kiya hai.
Dar pay jo sar jhuka nahin sakta
Deen e majid woh pa nahin sakta
Har koi dar ko paa nahin sakta
Aira ghaira tou aa nahin sakta
Malakul Maut aa kay rukta hai
Syeda, Tahira, Abida, Zahida, Taiyaba, Raziya, Marziya
Aadila, Sajida, Hura, Batool e Auzura
Syeda, Tahira, Abida, Zahida, Taiyaba, Raziya, Marziya
Aadila, Sajida, Hura, Batool e Auzura
Marsia.(Must Listen)
Thursday, December 23, 2010
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment