mazloom-e-karbala ka sar tan se tha juda ai shaam-e- gharibaan
Khaak urh rahi thi khaymo mei, zainab thi berida ai shaam-e-gharibaan
rone ki pit ne ki aati rahi sadaa ai shaam-e-gharibaan
(Ai shaam-e-gharibaan) x6
1. (Haay fatema zahra ka bharaa ghar ujar gaya) x2
(Pyaase tarap rahe the darya karib tha) x2
Khaymo se aag bhar ki to ek shor sa utha
(Ai shaam-e-gharibaan) x4
2. (Haay karbala ki shaam ka manzar ajib tha) x2
(Ran me pare thay bikhre haay laash jabajaa(n)) x2
Ro roke kehrathi ye khaak-e-karbala ai shaam-e- ghariba
(Ai shaam-e-gharibaan) x4
3. (Khaymo mai ashkiya hai charaaga kiye huwe) x2
(Wo fatema ke dar ko hai veera(n) kiye huwe) x2
Sibte rasool paak ka khayma jalaa huwa
(Ai shaam-e-gharibaan) x4
4. (Koyi nahi jo zainab-e-muztar ka saath de) x2
(Pyaase yateem bacho ke koi sar pe haath de) x2
Har simt aa rahi thi al-atash ki eik sadaa
(Ai shaam-e- ghariba) x4
5. (Karbobala mei lut gayi nana duhayi hai) x2
(Be gor-o-kafan ran me mera pyaara bhaayi hai) x2
Haay dasht nainawaa mai zainab ne ye kahaa
(Ai shaam-e-gharibaan) x4
6. (Sajjad gham ye bhulna paayenga umr bhar) x2
(Sayyedaniyo(n) ke sog manayenga umr bhar) x2
Aankho se ashk khu(n) ke bahayenege ab sadaa
(Ai shaam-e-gharibaan) x4
7. (“Mesum” ye kaisi shaam karbal mei aayi hai) x2
(“Irfan” roke de rahi zainab duhaayi hai) x2
Pyaasa gala hussain ka khanjar se kat gaya
(Ai shaam-e-gharibaan) x4
Pakistani Urdu Noha Information:
Nawha Reciter: Mesum AbbasAlbum: Mesum Abbas 2008 Volume
Note: Dedicated to our Shia Brothers & Sisters.
No comments:
Post a Comment