Abbas, Abbas
Shakle Ali sheyr-e-Khuda x4
Shabbir sa jaaho hasham
Abbas meer-e-Lashkaram x4
1. Shakle Ali sheyr-e-Khuda x2
Shabbir sa jaao hasham
Abbas meer-e-Lashkaram x4
2. Ayaa Ali ka ladla x2
Kehte the dushman bhar mala x2
Sab dedo isko rastaa x2
Warna karega sar kalam
Abbas meer-e-Lashkaram x4
3. Ek nawjawan ek shehsawaar x2
Haathon mein nezaa tez dhaar x2
Dushman giraaye beshumaar x2
Bhartaa gayaa yun dum-ba-dum
Abbas meer-e-Lashkaram x4
4. Daryaa pe jaanaa hai usse x2
Paani pilaana hai usse x2
Waadaa nibhaana hai usse x2
Khaayi sakina ki kasam
Abbas meer-e-Lashkaram x4
5. Raah-e-wafaa mein khun diyaa x2
Ek bhoondh na paani piyaa x2
Daryaa pe jab gaaraa alam x2
Sab keh utthe arbo ajam
Abbas meer-e-Lashkaram x4
6. maidaan me jab ghazi gayaa x2
Haidar ki tarhaa dutt gayaa x2
Parcham ko jukne na diyaa x2
Aur hogaye baazu kalam
Abbas meer-e-Lashkaram x8
7. Mashke sakina chidd gayi x2
Pyaasi sakina rehgayi x2
Na aas ammu ki rahi x2
Jab aagaya khali alam
Abbas meer-e-Lashkaram x4
8. Ghore se jab ghazi giraa x2
Shabbir ka ik bawafaa x2
Duniyaa se rukhsat hogayaa x2
Ujraa hai zainab ke bharam
Abbas meer-e-Lashkaram x4
9. Abbas ne sheh se kahaa x2
Aqa meri hai iltijaa x2
Laashaa na jaaye khaimon mein x2
Kar dijiye itna karam
Abbas meer-e-Lashkaram x4
10. bacchon ka tutaa aasraa x2
Aayaa alam jo khun bharaa x2
Ghash mein Sakina ghir pari x2
Ye hogaya kaisa alam
Abbas meer-e-Lashkaram x4
11. Irfan ki hai iltijaa x2
Mesum ki puri ho duaa x2
Nawhagar tera mein rahun x2
Jab tak rahe sine mein dam x2
Abbas meer-e-Lashkaram x4
Pakistani Urdu Noha Information:
Nawha Reciter: Mesum AbbasAlbum: Mesum Abbas 2008 Volume
Note: Dedicated to our Shia Brothers & Sisters.
No comments:
Post a Comment