Marsia.(Must Listen)

Thursday, December 23, 2010

Meray Mola Mujhey Do Sahara Lyrics

Merey mola mujhey do sahara
Meiney thaama hain daman tumhara
Dhaltay suraj ko tumay ubhara
Meiney thaama hain daman tumhara
Tumhi mushkil kusha ae jahan how
Tumhi mola ae kowno makaan how
Ambiya ney bhi tumko pukarah
Meiney thaama hain daman tumhara
Dhaltay suraj ko tumay ubhara
Meiney thaama hain daman tumhara (x2)
Meri kashti bhawar mei phasi hain
Dushmanow key labow par hasii hain
Kardow nazdikh ham sey kinara
Meiney thaama hain daman tumhara
Dhaltay suraj ko tumay ubhara
Meiney thaama hain daman tumhara (x2)
Ghardishow mei muqadar hain mera
Kya karun charsu hai andhera
Tumjo chahow tow chamkey sitara
Meiney thaama hain daman tumhara
Dhaltay suraj ko tumay ubhara
Meiney thaama hain daman tumhara (x2)
Behrey Abbas bazu ko thamow
Muskilow sey hamey tum bachalow
Terey dar pey hai sarkham hamara
Meiney thaama hain daman tumhara
Dhaltay suraj ko tumay ubhara
Meiney thaama hain daman tumhara (x2)
Wasta akbere nawjawan ka
Wasta chemahiney ki jaan ka
Kardow rehemat ka bas ab isharah
Meiney thaama hain daman tumhara
Dhaltay suraj ko tumay ubhara
Meiney thaama hain daman tumhara (x2)
Apni zakira par rehem khawo
Jald rowzey pey mola bulawo
Milkay dar dekhey sab phir tumhara
Meiney thaama hain daman tumhara
Dhaltay suraj ko tumay ubhara
Meiney thaama hain daman tumhara (x3)

Lyrics Information

Recited By: Fatima & Batul Dhamani
Album: Ali Hamara Hai
Released: 2009

Mera Sehreyan Wala Akbar Lyrics

Mera sehreyan wala akber (x2)
Zakhm dil ke dikhawun maen kaisay (x2)
Tera lasha uthawun maen kaisay
Akbar mera sehreyan wala akber x2
Lashay akbar pae shaha jab pohnchay,
Dil ko haton se tham kar bolay,
Teree furqat nae aye ali akber,
Aag dil mein meray lagadee hae,
Aag dil kee bhujawun maen kaisay (x2)
Tera lasha uthawun maen kaisay
Akbar mera sehreyan wala akber (x2)
Too hae karyal javan aye beta,
Baap tera zaeef hae kitna,
Noor ankhon ka hogaya rukhsat,
Mujhko ata nahee nazar khayma,
Lekay khemon mae jawun mae kaisay (x2)
Tera lasha uthawun maen kaisay
Akbar mera sehreyan wala akber (x2)
Jisne atthara saal paala tha,
Kaise dekhee gi vo tera lasha,
Teri shaadi ka tha jise armaan,
Kaisay jhele ghi vo tera sadma,
Teri maa ko bataoon mae kaisay (x2)
Tera lasha uthawun maen kaisay
Akbar mera sehreyan wala akber (x2)
Dekh aya hae qaside sughra,
Raha tak tee hae vo dukhi behna,
Tujko beemar nae bulaya hae,
Waada sughra ka kyoon bhula dala,
Gham yeh dil se lagawun maen kaisay (x2)
Tera lasha uthawun maen kaisay
Akbar mera sehreyan wala akber (x2)
Bhai behnon ka hae ajab rishta,
Jiska saani kahin naheen milta,
Roke sughra nae ye likha akber,
Aik dukhya kee laaj rakhlena,
Margaya too batawun mae kaisay (x2)
Tera lasha uthawun maen kaisay
Akbar mera sehreyan wala akber (x2)
Lutf jeenay maen ab kahan akbar,
Dil se uththi hae ye fughan akbar,
Subhe ashoor dee thee jo toonay,
Khun rulayegee vo azaan akbar,
Teree soorat bhulawun maen kaisay (x2)
Tera lasha uthawun maen kaisay
Akbar mera sehreyan wala akber (x2)
Zabt gham hai mohal aye beta,
Dekhoon kaisay yeh zakhm seenay ka,
Maen to pardes maen akaela hoon,
Dekh kar zakhm kya karoon batla,
Is pe marham lagawun maen kaisay (x2)
Tera lasha uthawun maen kaisay
Akbar mera sehreyan wala akber (x2)
Fatima yeh dua hae khaliq se
Waqt aisa kisee pe naa aaye
Jaisa mazhar ne likhdiya manzar
Shaha kehte haen bas yehi rokay
Zahkm dil ke dikhawun maen kaisay (x2)
Tera lasha uthawun maen kaisay
Akbar mera sehreyan wala akber (x2)
Mera sehreyan wala akber (x2)
Recited By: Fatima & Batul Dhamani
Album: Karbala Wala Musafir
Released: 2009

Mera Iman Ali Hai Ali Lyrics

Kuley iman Ali (x2)
Kuley iman Hussain (x2)
Kuley iman Ali (x2)
Kuley iman Hussain (x2)
Deen ki shaan Ali (x2)
Deen ki shaan Hussain
Mera iman hai Ali hai meri pehchan Hussain (x3)
Shah wAliyon ka Ali (x2) Nabiyon ka sultan Hussain
Mera iman hai Ali hai meri pehchan Hussain (x2)
Ya Hussain
Hain bila fasl yeh donon he nabi ki zeenat (x2)
Aik sardar e jinan air qaseem e jannat
Adl e allah Ali (x2) adl ki mezan Hussain
Mera iman hai Ali hai meri pehchan Hussain (x2)
Ya Hussain
Chashm e khAliq mein hain ek doojay kay humsar donon
Aik nisbat say hai kul nabion say bartar donon
Nafs e ahmed hai Ali (x2) zehra ki hai jaan Hussain
Mera iman hai Ali hai meri pehchan Hussain (x2)
Ya Hussain
Sarey alam kay liye saray jahanon kay liye (x2)
Sab zameenon kay liye saray zamanon kay liye
Rab ki rehmat hai Ali (x2) rab ka hai ahsan Hussain
Mera iman hai Ali hai meri pehchan Hussain (x2)
Ya Hussain
Yeh tow khud nabion ka sultan gawahi daygha (x2)
Haan isi baat pay quran gawahi dayga
Nuqta e baa hai Ali (x2) bolta quran Hussain
Mera iman hai Ali hai meri pehchan Hussain (x2)
Ya Hussain
Aik hai khana e kaba ka bananay wala (x2)
Aik hai kalma e tauheed bachanay wala
Zamin e kaba Ali (x2) aur nigehban husaain
Mera iman hai Ali hai meri pehchan Hussain (x2)
Ya Hussain
Aik ney nabion say her lamha e mushkil taala (x2)
Aik ney fitrus o rahib ka muqaddar badla
Hai Ali amr e khuda (x2) rehmat e rehman Hussain
Mera iman hai Ali hai meri pehchan Hussain (x2)
Ya Hussain
Aik khAliq ki razaon ka khareedar bana (x2)
Aik woh jiska khuda aap talabgar bana
Yani haider ki tarha (x2) rab kay hai arman Hussain
Mera iman hai Ali hai meri pehchan Hussain (x2)
Ya Hussain
Aik be zar ko abuzar hai bananay wala (x2)
Aik hai hur ko jahanum say churanay wala
Meherban jaisa Ali (x2) waisa meherban Hussain
Mera iman hai Ali hai meri pehchan Hussain (x2)
Ya Hussain
Aaj bhi deen e payaamber yeh sada daita hai (x2)
Ab bhi islam ka pekar yeh sada daita hai
Mera rutba hai Ali (x2) hai mera ailan Hussain
Mera iman hai Ali hai meri pehchan Hussain (x2)
Ya Hussain
Na to dola hai na dolay ga aqeeda mera (x2)
Raat din noor Ali hai yeh wazeefa mera
Mera mazhab hai Ali (x2) hai mera eman Hussain
Mera iman hai Ali hai meri pehchan Hussain (x3)

Lyrics Information

Recited By: Fatima & Batul Dhamani
Album: Ali Hamara Hai
Released: 2009

Madad Kijiye Ya Imam e Zamana Lyrics

Ya Imam e Zaman (x5)
Madad kijiyeh ya Imam e Zamana (x2)
Hatah diji ghaybat ka pardah khudarah pardah khudarah
Madad kijiyeh ya Imam e Zamana (x2)
Bari afatay hain zamaney pey mola
Parehshaan shiya kahan jayeh mola
Pukara tumhe jab huwa dil jow muztar
Madad kijiyeh ya Imam e Zamana (x2)
Bala ae hain gharii nahi koyi saathi
Andhera hain harsu udasii hain chaayi
Tumharey qadam sey ho duniya munawar
Madad kijiyeh ya Imam e Zamana (x2)
Bhawar mei hai kashti bacha ney ko wawoh
Ghamey zindaghi se churaney ko awoh
Mohammed ki jaan ho safiney ki langhar
Madad kijiyeh ya Imam e Zamana (x2)
Ghunehgaar hun aur sharmindah mola
Maghar aap par hi hain mujko bharosa
Karow rehbarii ab bara hai payambar
Madad kijiyeh ya Imam e Zamana (x2)
Tamana yeh dilmei bohot kuch hain meri
Hai umeed hoghi bohot jald purii
Merey haq mei kardijey jow kuch ko behtar
Madad kijiyeh ya Imam e Zamana (x3)
Ya Imam e Zaman (x5)
Madad kijiyeh ya Imam e Zamana

Lyrics Information

Recited By: Fatima & Batul Dhamani
Album: Ali Hamara Hai
Released: 2009

Kaash Abbas Na Maray Jaatey Lyrics

Kaash abbas na maray jaatey (x5)
Is tarha lagh ti naa akber key kalejey mein sinah,
Is tarha hoti naa sadaat key khaimo mei fughaan
Yun naa zainab key saharey jaatey
Kaash abbas na maray jaatey (x2)
Downo bazoo woh shehen shaa hai wafa key thaamey
Laashey abbas pey shabbir bukah kartey they
Bhaiyi tum baad hamarey jaatey
Kaash abbas na maray jaatey (x2)
Ghardaney shaa pey yun ran mei naa khanjar chalta
Yun naa khursheede imamat naa sarey maqtal dhalta
Yun sar neyzooh pey sar jaatey
Kaash abbas na maray jaatey (x2)
Hotey abbas dilawar to na khaimey jaltey
Shaam-e-Ghurbaat na sakina ko tamachey laghtey
Ghosh waarey naa utarey jaatey
Kaash abbas na maray jaatey (x2)
Hotey abbas tow chinti naa rida zainab ki
Paawo mei aabid-e-muztar key na beyri dalti
Taaziyaane bhi naa marey jaatey
Kaash abbas na maray jaatey (x2)
Hokey paabande rasan sayyad-e-sajjad chaley
Neher ko deikh ke rotey huwey yeh kehney laghey
Sab watan saath hamarey jaatey
Kaash abbass na maray jaatay (x2)
Aaj bhi aati hai yeh qabrey sakina sey sadaa
Aei chacha laati naa zindaan mei yun hamko qaza
Saath aghar hum bhi tumhare jaatey
Kash abbas na mare jatay (x2)
Haal-e-Akber jo koi pooch ta tha noor-e-ali
Ro key zainab yahi kehti thi sadaa noor-e-ali
Kaash abbas na maray jaatey
Kaash abbas na maray jaatey (x6)
Recited By: Fatima & Batul Dhamani
Album: Karbala Wala Musafir
Released: 2009

Hye Hum Yateem Ho Gaye Lyrics

Hye hum yateem ho gaye (x2)
Thi kisi ki dasht mei sadaa
Hy hum yateem hoghaye
Janey kaisi shaam aayi thi apney saath sab ko ley chalii
Ab rahey na baba aur chachaa
Hye hum yateem ho gaye
Chey mahiney walah sheer khawaar jisey merey dil ko tha karar
Arey woh bhi teer khakey sowghaya
Hye hum yateem ho gaye
Kya kahun key kis tarha kiye zalimon baap ko shaheed
Aik din mei kya sey kya huwa
Hye hum yateem ho gaye
Kis ki raah dekhey hum gharib banghayi hun thokharey nasib
Baba hain na ab mera chachaa
Hye hum yateem ho gaye
Dukhtare hussain ki duaa gham na day kisi ko ae khuda
Beti how naa baap sey judha
Hye hum yateem ho gaye….

Lyrics Information

Recited By: Fatima & Batul Dhamani
Album: Ali Hamara Hai
Released: 2009

Hazri Abbas Kee Lyrics

Hazri Abbas (x3)
Hazri Abbass ki jab khaaye ga , Baccha baccha bawafa ho jaayega (x3)
Aik pal mei hogha woh tufan fana (x2)
Parchamey Ghazi sey jow takhraeygha
Baccha baccha bawafa ho jaayega
Hazri Abbass ki jab khaaye ga , Baccha bacha bawafa ho jaayega (x2)
Aashana hojayegha haider sey woh (x2)
Aashana ghazi sey jow hojayehgha
Baccha baccha bawafa ho jaayega
Hazri Abbass ki jab khaaye ga , Baccha bacha bawafa ho jaayega (x2)
Jholiyan bhar deyghey abbas sey jarii (x2)
Haath apney jow yahan phelayegha
Baccha baccha bawafa ho jaayega
Hazri Abbass ki jab khaaye ga , Baccha baccha bawafa ho jaayega (x2)
Haath hai is per Imam e Asr ka (x2)
Hashr tuc apna alam lehraye ga
Baccha baccha bawafa ho jaayega
Hazri Abbass ki jab khaaye ga , Baccha baccha bawafa ho jaayega (x2)
Jaayega seedha jahannum ki taraf (x2)
Jo Ali kay bughz mein mar jaayega
Baccha baccha bawafa ho jaayega
Hazri Abbass ki jab khaaye ga , Baccha baccha bawafa ho jaayega (x2)
Jisko hai aal e nabi say dushmani (x2)
Her Qadam per lanatain who khaayega
Baccha baccha bawafa ho jaayega
Hazri Abbass ki jab khaaye ga , Baccha baccha bawafa ho jaayega (x2)
Waqt hai aja dar e Haider pay tun (x2)
Warna to bay mot mara jaayega
Baccha baccha bawafa ho jaayega
Hazri Abbass ki jab khaaye ga , Baccha baccha bawafa ho jaayega (x2)
Baat gar Qasim ki tu mana nahin
Dar ba dar ki thokrain phir khaayega
Baccha baccha bawafa ho jaayega
Hazri Abbass ki jab khaaye ga , Baccha baccha bawafa ho jaayega (x2)
Baccha baccha bawafa ho jaayega (x2)

Lyrics Information

Recited By: Fatima & Batul Dhamani
Album: Ali Hamara Hai
Released: 2009